Manmaohini
prakruti ki jo godh mei(n) basaa hai,
Sukh
swarg-sa jahaan hai, vah desh kaun sa hai?
Jiske
charan nirantar ratnesh dho raha hai,
Jiskaa
mukut himalaya, vah desh kaun sa hai?
Nadiya(n)
jahaan sudha ki dhaara ban rahi hai,
Seecha
huva salona, vah desh kaun sa hai?
Jiske
bade rasile, phal-kand-naaj-meve,
Sab
ang mei(n) saje hai, vah desh kaun sa hai?
Jisme
sugandh waale, sundar prasun pyaare,
Din-
raat hus rahei(n) hai, vah desh kaun sa hai?
Jiske
anant dhan se dharti bhari padi hai,
Sansaar
ka shiromani, vah desh kaun sa hai?
Sabse
pratham jagat mei(n) jo sabhya tha yashaswi,
Jagdish
ka dulaara, vah desh kaun sa hai?
Prithvi
nivaasiyon ka jisne pratham jagaaya,
Shikshit
kiya, sudhaara, vah desh kaun sa hai?
Jismein
huve alokik, tatvagna brahmagyani,
Gautam,
Kapil, Patanjali, vah desh kaun sa hai?
Chhodo
swaraaj trunavat, aadesh se pita ke,
Vah
Ram the jahaan par, vah desh kaun sa hai?
Nihswaarth
shudh premi bhaayi base jahaan the,
Laxman
- Bharat sarikhe, vah desh kaun sa hai?
Devi
pavitrata ki Sita jahaan huyi thi,
Mateshwari
jagat ki, vah desh kaun sa hai?
Aadarsh
nar jahaan par the bal-brahmachaari,
Hanuman,
Bhishma, Shankar, vah desh kaun sa hai?
Vidwan,
veer, yogi, guru raajnitiko ke
Shrikrishna
the jahaan par, vah desh kaun sa hai?
Vijayi,
bali, jahaan ke, bejod surma the
Guru
Dron, Bheem, Arjun, vah desh kaun sa hai?
Jisme
daadhichi daani, Harishchandra, Karna, se the,
Sab
log ka hiteshi, vah desh kaun sa hai?
Pachpan
karod jan hai, sevak saput jiske,
Bhaarat
sivay dooja, vah desh kaun sa hai? |